guzishta shab jo itni raushni thi
guzishta shab jo itnī raushnī thī
tumhārī yaad kī jalvagarī thī
fazā meñ gungunāhaT thī ajab sī
havā pattoñ se bāteñ kar rahī thī
ġhazal jaisā sarāpā thā kisī kā
koī sūrat mukammal shā.irī thī
tire alfāz nishtar ban ga.e the
mohabbat intihā par aa ga.ī thī
sunā hai ba.ad mere kuchh dinoñ tak
vo miTTī par lakīreñ khīñchtī thī
vo gaahe ab palaT kar dekhtī hai
koī ik baat kahnā rah ga.ī thī
vahī ham haiñ vahī tīra-shabī hai
mohabbat chaar din kī chāñdnī thī
laboñ par qahqahe hī qahqahe the
koī laḌkī thī yā vo phuljaḌī thī
koī dil meñ achānak aa basā thā
mohabbat kī nahīñ thī ho ga.ī thī
guzishta shab jo itni raushni thi
tumhaari yaad ki jalwagari thi
faza mein gungunahaT thi ajab si
hawa patton se baaten kar rahi thi
ghazal jaisa sarapa tha kisi ka
koi surat mukammal shairi thi
tere alfaz nishtar ban gae the
mohabbat intiha par aa gai thi
suna hai baad mere kuchh dinon tak
wo miTTi par lakiren khinchti thi
wo gahe ab palaT kar dekhti hai
koi ek baat kahna rah gai thi
wahi hum hain wahi tira-shabi hai
mohabbat chaar din ki chandni thi
labon par qahqahe hi qahqahe the
koi laDki thi ya wo phuljaDi thi
koi dil mein achanak aa basa tha
mohabbat ki nahin thi ho gai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.