guzra jidhar se rah ko rangin kar gaya
guzrā jidhar se raah ko rangīn kar gayā
jugnū ik āftāb kī tauhīn kar gayā
kis ne biThāyā mujh ko sar-e-masnad-e-sināñ
ye kaun mere jism kī taz.īn kar gayā
ashkoñ ne zaḳhm zaḳhm ko andar se dho diyā
ye ġham tirā to ruuh kī taskīn kar gayā
ye kis kī ḳhāmushī se hai nabz-e-jahāñ rukī
ye kaun kā.enāt ko ġhamgīn kar gayā
aayā thā le ke ziist meñ daulat sukūn kī
jaate hue qarār mirā chhīn kar gayā
ye gaam gaam aa.ine kis ne bichhā diye
ye kaun gaam gaam ko ḳhud-bīn kar gayā
tohmat mire vajūd ko chhū kar palaT ga.ī
samjhā thā vo ki zaat kī taskīn kar gayā
ai kushtgān-e-ishq bharam hai ye ishq kā
rakhnā ye jeb chaak vo talqīn kar gayā
'tāhir' har ek baat meñ jis kī miThās thī
bichhḌā to zindagī ko vo ġhamgīn kar gayā
guzra jidhar se rah ko rangin kar gaya
jugnu ek aaftab ki tauhin kar gaya
kis ne biThaya mujh ko sar-e-masnad-e-sinan
ye kaun mere jism ki tazin kar gaya
ashkon ne zaKHm zaKHm ko andar se dho diya
ye gham tera to ruh ki taskin kar gaya
ye kis ki KHamushi se hai nabz-e-jahan ruki
ye kaun kaenat ko ghamgin kar gaya
aaya tha le ke zist mein daulat sukun ki
jate hue qarar mera chhin kar gaya
ye gam gam aaine kis ne bichha diye
ye kaun gam gam ko KHud-bin kar gaya
tohmat mere wajud ko chhu kar palaT gai
samjha tha wo ki zat ki taskin kar gaya
ai kushtgan-e-ishq bharam hai ye ishq ka
rakhna ye jeb chaak wo talqin kar gaya
'tahir' har ek baat mein jis ki miThas thi
bichhDa to zindagi ko wo ghamgin kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.