guzre hai dil pe jo wo kahen kya kisi se hum
guzre hai dil pe jo vo kaheñ kyā kisī se ham
apnoñ meñ ho ke rah ga.e ik ajnabī se ham
is vāqi.a kā tajziya karnā muhāl hai
sahmī huī hai ham se ḳhushī yā ḳhushī se ham
rahne lage ḳhafā ḳhafā sūraj bhī chāñd bhī
mānūs kyā hue haiñ kisī raushnī se ham
din din hai raat raat hai ye jānñe ke baa'd
kaise nibāh karte bhalā tīrgī se ham
jaanā hai us maqām pe rasta kaThin sahī
laa.eñ jo inqalāb koī shā.irī se ham
‘paikar’ hamārī shaan ke qat.an ḳhilāf hai
āñkheñ churā churā ke ji.eñ zindagī se ham
guzre hai dil pe jo wo kahen kya kisi se hum
apnon mein ho ke rah gae ek ajnabi se hum
is waqia ka tajziya karna muhaal hai
sahmi hui hai hum se KHushi ya KHushi se hum
rahne lage KHafa KHafa suraj bhi chand bhi
manus kya hue hain kisi raushni se hum
din din hai raat raat hai ye jaanne ke ba'd
kaise nibah karte bhala tirgi se hum
jaana hai us maqam pe rasta kaThin sahi
laen jo inqalab koi shairi se hum
‘paikar’ hamari shan ke qatan KHilaf hai
aankhen chura chura ke jien zindagi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.