guzre hain tere sath jo din-raat abhi tak
guzre haiñ tere saath jo din-rāt abhī tak
āñkhoñ meñ base haiñ vahī lamhāt abhī tak
kuchh ishq kī lazzat bhī hai kuchh sozish-e-dil bhī
taaza haiñ mire dil meñ ye sauġhāt abhī tak
kartī huuñ kabhī jab tirī tasvīr se bāteñ
kyuuñ aañkh se hotī hai ye barsāt abhī tak
vo terā tabassum vo mohabbat bharī nazreñ
raqsāñ hai lahū meñ tirī har baat abhī tak
rahne nahīñ detā mujhe tanhā vo tasavvur
zinda hai mire dil meñ tirī zaat abhī tak
tū naqsh hai dil par mire tasvīr kī sūrat
badle hī nahīñ haiñ mire hālāt abhī tak
guzre hain tere sath jo din-raat abhi tak
aankhon mein base hain wahi lamhat abhi tak
kuchh ishq ki lazzat bhi hai kuchh sozish-e-dil bhi
taza hain mere dil mein ye saughat abhi tak
karti hun kabhi jab teri taswir se baaten
kyun aankh se hoti hai ye barsat abhi tak
wo tera tabassum wo mohabbat bhari nazren
raqsan hai lahu mein teri har baat abhi tak
rahne nahin deta mujhe tanha wo tasawwur
zinda hai mere dil mein teri zat abhi tak
tu naqsh hai dil par mere taswir ki surat
badle hi nahin hain mere haalat abhi tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.