guzre hue lamhon mein basar hone laga hun
guzre hue lamhoñ meñ basar hone lagā huuñ
maazī kī tarah sarf-e-nazar hone lagā huuñ
larzāñ hai ka.ī din se mire zabt kā mīzān
kuchh din se yūñhī zer-o-zabar hone lagā huuñ
kyā jaane kyā bikhrā hai mire jism ke andar
mahsūs ye hotā hai khañDar hone lagā huuñ
detā huuñ bhaTakte hue ḳhvāboñ ko panāheñ
āvāra ḳhayālāt kā ghar hone lagā huuñ
manzil mirī aqdām mire raah mirī hai
hone bhī do gumrāh agar hone lagā huuñ
kuchh daad to de rāh-numā azm-e-safar kī
manzil ke liye gard-e-safar hone lagā huuñ
āñkhoñ se chhalak jaatā hai ehsās-e-nadāmat
aksar yūñhī bā-dīda-e-tar hone lagā huuñ
kyoñ daf.atan aane lage har samt se patthar
lagtā hai ki phaldār shajar hone lagā huuñ
hotā hai asar ruuh pe ranj aur ḳhushī kā
'sālim' maiñ farishte se bashar hone lagā huuñ
guzre hue lamhon mein basar hone laga hun
mazi ki tarah sarf-e-nazar hone laga hun
larzan hai kai din se mere zabt ka mizan
kuchh din se yunhi zer-o-zabar hone laga hun
kya jaane kya bikhra hai mere jism ke andar
mahsus ye hota hai khanDar hone laga hun
deta hun bhaTakte hue KHwabon ko panahen
aawara KHayalat ka ghar hone laga hun
manzil meri aqdam mere rah meri hai
hone bhi do gumrah agar hone laga hun
kuchh dad to de rah-numa azm-e-safar ki
manzil ke liye gard-e-safar hone laga hun
aankhon se chhalak jata hai ehsas-e-nadamat
aksar yunhi ba-dida-e-tar hone laga hun
kyon dafatan aane lage har samt se patthar
lagta hai ki phaldar shajar hone laga hun
hota hai asar ruh pe ranj aur KHushi ka
'salim' main farishte se bashar hone laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.