guzre hue waqton ka nishan tha to kahan tha
guzre hue vaqtoñ kā nishāñ thā to kahāñ thā
ham se jo nihāñ hai vo ayaañ thā to kahāñ thā
is tarah lipaTtī hai udāsī ki ye socheñ
do pal kī ḳhushī kā jo gumāñ thā to kahāñ thā
bastī kā taqāza hai kahīñ haiñ to kahāñ haiñ
majnūñ kā bayābāñ meñ makāñ thā to kahāñ thā
baiThā hai mire paas ki chalnā nahīñ mumkin
sohbat kī hadoñ kā jo nishāñ thā to kahāñ thā
ab sochte haiñ baiTh ke gulshan kī fazā meñ
sahrā meñ hamārā jo makāñ thā to kahāñ thā
piirī hai buzurgī hai buḌhāpā hai ki kyā hai
is karb meñ rahnā ki javāñ thā to kahāñ thā
nashsha hī nahīñ sab kā bharam TuuT rahā thā
sunte the koī pīr-e-muġhāñ thā to kahāñ thā
'āmir' ko hamīñ DhūñD ke laa.eñ haiñ ba-mushkil
kahte haiñ vo pahle se yahāñ thā to kahāñ thā
guzre hue waqton ka nishan tha to kahan tha
hum se jo nihan hai wo ayan tha to kahan tha
is tarah lipaTti hai udasi ki ye sochen
do pal ki KHushi ka jo guman tha to kahan tha
basti ka taqaza hai kahin hain to kahan hain
majnun ka bayaban mein makan tha to kahan tha
baiTha hai mere pas ki chalna nahin mumkin
sohbat ki hadon ka jo nishan tha to kahan tha
ab sochte hain baiTh ke gulshan ki faza mein
sahra mein hamara jo makan tha to kahan tha
piri hai buzurgi hai buDhapa hai ki kya hai
is karb mein rahna ki jawan tha to kahan tha
nashsha hi nahin sab ka bharam TuT raha tha
sunte the koi pir-e-mughan tha to kahan tha
'amir' ko hamin DhunD ke laen hain ba-mushkil
kahte hain wo pahle se yahan tha to kahan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.