guzre mausam ka chalan dil se mere goya hai
guzre mausam kā chalan dil se mire goyā hai
tujh ko kho kar bhī kahāñ dil ne tujhe khoyā hai
zabt ke ashk dabā.e haiñ tire hone par
chāñd hijrat ke mahīnoñ meñ bahut royā hai
har ghaḌī soch ko bāñdhā hai tirī yādoñ se
har ghaḌī yaad ko ashkoñ se tirī dhoyā hai
vasl kī chaah meñ dekhe haiñ zamāne kitne
kitnī sadiyoñ se tirā majnūñ nahīñ soyā hai
kis ne sāzish kī zamīnoñ pe haiñ kaaTī fasleñ
zahr kā biij batā kis ne yahāñ boyā hai
ham ne bailoñ ko nahīñ bāñdhā zarā ġhaur karo
rizq ne bāñdh ke insāñ ko yahāñ joyā hai
guzre mausam ka chalan dil se mere goya hai
tujh ko kho kar bhi kahan dil ne tujhe khoya hai
zabt ke ashk dabae hain tere hone par
chand hijrat ke mahinon mein bahut roya hai
har ghaDi soch ko bandha hai teri yaadon se
har ghaDi yaad ko ashkon se teri dhoya hai
wasl ki chah mein dekhe hain zamane kitne
kitni sadiyon se tera majnun nahin soya hai
kis ne sazish ki zaminon pe hain kaTi faslen
zahr ka bij bata kis ne yahan boya hai
hum ne bailon ko nahin bandha zara ghaur karo
rizq ne bandh ke insan ko yahan joya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.