guzre tamam umr ajab imtihan se hum
guzre tamām umr ajab imtihāñ se ham
uljhe kabhī zamīñ se kabhī āsmāñ se ham
is aa.ine ko mausam-e-gul kī talāsh hai
ahd-e-shabāb DhūñD ke laa.eñ kahāñ se ham
jaise vo āsmān hī muTThī meñ aa gayā
the itnā ḳhush-gumān kisī bad-gumāñ se ham
āvārgī-e-shauq meñ sūd-o-ziyāñ hai kyā
ye kārobār siikh rahe haiñ dhuāñ se ham
tanqīd kar rahe haiñ usī kī zabān par
alfāz le ke aa.e haiñ jis dāstāñ se ham
jo nigah-e-intiḳhāb ke qābil na thā kabhī
āñkheñ laḌāne baiTh ga.e us jahāñ se ham
iqrār ko banā ga.e inkār vo 'fahīm'
kahte the jo palaTte nahīñ haiñ bayāñ se ham
guzre tamam umr ajab imtihan se hum
uljhe kabhi zamin se kabhi aasman se hum
is aaine ko mausam-e-gul ki talash hai
ahd-e-shabab DhunD ke laen kahan se hum
jaise wo aasman hi muTThi mein aa gaya
the itna KHush-guman kisi bad-guman se hum
aawargi-e-shauq mein sud-o-ziyan hai kya
ye karobar sikh rahe hain dhuan se hum
tanqid kar rahe hain usi ki zaban par
alfaz le ke aae hain jis dastan se hum
jo nigah-e-intiKHab ke qabil na tha kabhi
aankhen laDane baiTh gae us jahan se hum
iqrar ko bana gae inkar wo 'fahim'
kahte the jo palaTte nahin hain bayan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.