guzri hui raunaq ke nishan le ke chale hum
guzrī huī raunaq ke nishāñ le ke chale ham
lo kushta-charāġhoñ kā dhuāñ le ke chale ham
hai dosh pe kitne hī zamānoñ kī virāsat
har-gām pe ik bār-e-garāñ le ke chale ham
ho terā burā ārzū-e-sañg-e-havādis
so kārgah-e-shīshagarāñ le ke chale ham
is anjuman naaz meñ hai kaun ḳharīdār
be-kār matā-e-dil-o-jāñ le ke chale ham
mai-ḳhāne meñ ummīd-e-karam laa.ī thī 'maikash'
aur be-ruḳhī-e-pīre-muġhāñ le ke chale ham
guzri hui raunaq ke nishan le ke chale hum
lo kushta-charaghon ka dhuan le ke chale hum
hai dosh pe kitne hi zamanon ki wirasat
har-gam pe ek bar-e-garan le ke chale hum
ho tera bura aarzu-e-sang-e-hawadis
so kargah-e-shishagaran le ke chale hum
is anjuman naz mein hai kaun KHaridar
be-kar mata-e-dil-o-jaan le ke chale hum
mai-KHane mein ummid-e-karam lai thi 'maikash'
aur be-ruKHi-e-pire-mughan le ke chale hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.