guzri raaton ke tasalsul se koi kya nikle
guzrī rātoñ ke tasalsul se koī kyā nikle
ham jise terī tarah chāheñ tujhī sā nikle
jaise vo jaan nazar aañkh jhapaktā nikle
raat kī kokh se aisā koī taarā nikle
us pe kyā jāniye kyā kyā na guzartī hogī
tum to ye soch rahe ho vo idhar aa nikle
chup raho ik do-ghaḌī ke liye rone vaalo
ain mumkin hai koī hañstā huā aa nikle
raah meñ phuul khileñge to chubhan bhī hogī
ghar meñ baiThūñ to mirī aañkh kā kāñTā nikle
raat jaltī hai sulagte hue sahrā kī tarah
dard agar ho to kisī aañkh se dariyā nikle
guzri raaton ke tasalsul se koi kya nikle
hum jise teri tarah chahen tujhi sa nikle
jaise wo jaan nazar aankh jhapakta nikle
raat ki kokh se aisa koi tara nikle
us pe kya jaaniye kya kya na guzarti hogi
tum to ye soch rahe ho wo idhar aa nikle
chup raho ek do-ghaDi ke liye rone walo
ain mumkin hai koi hansta hua aa nikle
rah mein phul khilenge to chubhan bhi hogi
ghar mein baiThun to meri aankh ka kanTa nikle
raat jalti hai sulagte hue sahra ki tarah
dard agar ho to kisi aankh se dariya nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.