guzrunga main jidhar se baqa chhoD jaunga
guzrūñgā maiñ jidhar se baqā chhoḌ jā.ūñgā
be-harf kar ke lafz-e-fanā chhoḌ jā.ūñgā
daur-e-ḳhizāñ meñ ḳhaar bhī mahkeñge misl-e-gul
maiñ gulsitāñ meñ aisī fazā chhoḌ jā.ūñgā
tum lafz lafz karnā tilāvat mirī hayāt
maiñ iqtibās-e-azm khulā chhoḌ jā.ūñgā
jis par hazār mai-kade ho jaa.eñ ḳhud nisār
āñkhoñ meñ terī aisā nasha chhoḌ jā.ūñgā
'āmir' sila mile na mile pyaar kā mujhe
lekin laboñ pe dād-e-vafā chhoḌ jā.ūñgā
guzrunga main jidhar se baqa chhoD jaunga
be-harf kar ke lafz-e-fana chhoD jaunga
daur-e-KHizan mein KHar bhi mahkenge misl-e-gul
main gulsitan mein aisi faza chhoD jaunga
tum lafz lafz karna tilawat meri hayat
main iqtibas-e-azm khula chhoD jaunga
jis par hazar mai-kade ho jaen KHud nisar
aankhon mein teri aisa nasha chhoD jaunga
'amir' sila mile na mile pyar ka mujhe
lekin labon pe dad-e-wafa chhoD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.