hadisa ishq mein darpesh hua chahta hai
hādisa ishq meñ darpesh huā chāhtā hai
dil shahanshāh se darvesh huā chāhtā hai
ishq ko zid hai ki ta.amīr kare shahr-e-umīd
husn kam-baḳht bad-andesh huā chāhtā hai
is ilāqe se mirā koī ta.alluq bhī nahīñ
ye ilāqa ki mirā desh huā chāhtā hai
mere ash.ār meñ ġhazloñ maiñ mire gītoñ meñ
ek kā zikr kam-o-besh huā chāhtā hai
jaah kī chaah nahīñ ḳhvāhish-e-mansab bhī nahīñ
mere andar koī darvesh huā chāhtā hai
mālik-e-saut-o-sadā shā.er-e-gumnām razā
terī dahlīz pe ab pesh huā chāhtā hai
hadisa ishq mein darpesh hua chahta hai
dil shahanshah se darwesh hua chahta hai
ishq ko zid hai ki tamir kare shahr-e-umid
husn kam-baKHt bad-andesh hua chahta hai
is ilaqe se mera koi talluq bhi nahin
ye ilaqa ki mera desh hua chahta hai
mere ashaar mein ghazlon main mere giton mein
ek ka zikr kam-o-besh hua chahta hai
jah ki chah nahin KHwahish-e-mansab bhi nahin
mere andar koi darwesh hua chahta hai
malik-e-saut-o-sada shaer-e-gumnam raza
teri dahliz pe ab pesh hua chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.