hadisa kal ajib sa guzra
hādisa kal 'ajīb sā guzrā
merā maiñ mujh se hī ulajh baiThā
sard bhūrā sarāb haath lagā
DhūñDhne ḳhud ko aaj niklā thā
jhāñkte the 'ajīb se chehre
aa.ina dekhnā hī chhoḌ diyā
ret par sirf sard lahreñ thiiñ
koī saaya na koī naqsh-e-pā
chauthī dīvār bhī girā Daalī
koī tanhā magar rahā tanhā
hadisa kal 'ajib sa guzra
mera main mujh se hi ulajh baiTha
sard bhura sarab hath laga
DhunDhne KHud ko aaj nikla tha
jhankte the 'ajib se chehre
aaina dekhna hi chhoD diya
ret par sirf sard lahren thin
koi saya na koi naqsh-e-pa
chauthi diwar bhi gira Dali
koi tanha magar raha tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.