hadisa to dekhiye kaisa hua
hādisa to dekhiye kaisā huā
bhuul aa.e dil kahīñ rakkhā huā
terā dāman ret ke Tiile sā hai
jazb kar letā hai sab barsā huā
rāstoñ kī kuchh ḳhabar us ko nahīñ
ruk gayā hogā kahīñ chaltā huā
vo nahīñ aa.egā vāpas lauT kar
tum bujhā do ye diyā jaltā huā
hadisa to dekhiye kaisa hua
bhul aae dil kahin rakkha hua
tera daman ret ke Tile sa hai
jazb kar leta hai sab barsa hua
raston ki kuchh KHabar us ko nahin
ruk gaya hoga kahin chalta hua
wo nahin aaega wapas lauT kar
tum bujha do ye diya jalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.