hadisa ye sar-e-bazar bhi ho sakta hai
hādisa ye sar-e-bāzār bhī ho saktā hai
dil kisī roz giraftār bhī ho saktā hai
mirī tahzīb se ḳhushbū na nikālī jaa.e
varna lahje mirā talvār bhī ho saktā hai
apnī āñkhoñ se pilāne kī koī baat bhī kar
mai-kada duur hai inkār bhī ho saktā hai
āj-kal vo bhī mulāqāt pe āmāda hai
aaj kī raat chamatkār bhī ho saktā hai
shāhzāde se kaho mahl se bāhar bhī rahe
ye kanīzoñ meñ giraftār bhī ho saktā hai
mas.ala ye hai ki untīsvīñ shab hai lekin
bādaloñ chāñd kā dīdār bhī ho saktā hai
hadisa ye sar-e-bazar bhi ho sakta hai
dil kisi roz giraftar bhi ho sakta hai
meri tahzib se KHushbu na nikali jae
warna lahje mera talwar bhi ho sakta hai
apni aankhon se pilane ki koi baat bhi kar
mai-kada dur hai inkar bhi ho sakta hai
aaj-kal wo bhi mulaqat pe aamada hai
aaj ki raat chamatkar bhi ho sakta hai
shahzade se kaho mahl se bahar bhi rahe
ye kanizon mein giraftar bhi ho sakta hai
masala ye hai ki untiswin shab hai lekin
baadalon chand ka didar bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.