hadsat ab ke safar mein nae Dhab se aae
hādsāt ab ke safar meñ na.e Dhab se aa.e
kashtiyāñ bhī nahīñ Duubī na kināre aa.e
ba.ad muddat ye jilā kis ke hunar ne baḳhshī
ba.ad muddat mire ā.īne meñ chehre aa.e
ashk palkoñ kī muñDeroñ pe tamannā dil meñ
din Dhale lauT ke shāḳhoñ pe parinde aa.e
saare kirdāroñ se jī khol ke bāteñ kar luuñ
moḌ kaisā mire qisse meñ na jaane aa.e
arsh par roz bagūle se phirā karte haiñ
dasht kī ḳhaak ko dīvāne kahāñ le aa.e
maiñ kisī aur taqāze se karūñ zikr us kā
vo kisī aur se milne ke bahāne aa.e
hadsat ab ke safar mein nae Dhab se aae
kashtiyan bhi nahin Dubi na kinare aae
baad muddat ye jila kis ke hunar ne baKHshi
baad muddat mere aaine mein chehre aae
ashk palkon ki munDeron pe tamanna dil mein
din Dhale lauT ke shaKHon pe parinde aae
sare kirdaron se ji khol ke baaten kar lun
moD kaisa mere qisse mein na jaane aae
arsh par roz bagule se phira karte hain
dasht ki KHak ko diwane kahan le aae
main kisi aur taqaze se karun zikr us ka
wo kisi aur se milne ke bahane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.