hadse aise bhi ab ishq mein ho jate hain
hādse aise bhī ab ishq meñ ho jaate haiñ
jāgnā chāheñ magar hijr meñ so jaate haiñ
zabt-e-nazzāra ne taufīq nahīñ dī varna
ham haiñ vo log ki dīvāne bhī ho jaate haiñ
badliyāñ dekh ke mausam kā koī giit na gā
aise bādal to harī fasl Dubo jaate haiñ
ham se āvāra-mizājoñ kī sifat aisī hai
ek lamhe ko Thahar jaa.eñ to kho jaate haiñ
hadse aise bhi ab ishq mein ho jate hain
jagna chahen magar hijr mein so jate hain
zabt-e-nazzara ne taufiq nahin di warna
hum hain wo log ki diwane bhi ho jate hain
badliyan dekh ke mausam ka koi git na ga
aise baadal to hari fasl Dubo jate hain
hum se aawara-mizajon ki sifat aisi hai
ek lamhe ko Thahar jaen to kho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.