hadse-dar-hadse hote gae
hādse-dar-hādse hote ga.e
dhīre dhīre ham-safar khote ga.e
manziloñ kī mehrbānī thī nahīñ
be-sabab māyūsiyāñ Dhote ga.e
khet banjar thā pasīna pī gayā
phir bhī apnī muflisī bote ga.e
ek nāTak manch par aisā chalā
log hañsnā chaah kar rote ga.e
saarī duniyā raat bhar soī nahīñ
aur lamhe niiñd se ho kar ga.e
hadse-dar-hadse hote gae
dhire dhire ham-safar khote gae
manzilon ki mehrbani thi nahin
be-sabab mayusiyan Dhote gae
khet banjar tha pasina pi gaya
phir bhi apni muflisi bote gae
ek naTak manch par aisa chala
log hansna chah kar rote gae
sari duniya raat bhar soi nahin
aur lamhe nind se ho kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.