hadse gasht mein rahte hain qaza ki surat
hādse gasht meñ rahte haiñ qazā kī sūrat
kitnī mahdūd hai duniyā meñ baqā kī sūrat
qissa-e-sabr-o-razā us ko sunāo jā kar
jis ne dekhī na ho arbāb-e-vafā kī sūrat
zaḳhm bhar jā.eñge pal bhar meñ yaqīñ hai mujh ko
vo jo aa jaa.eñ zarā der davā kī sūrat
aa ke baiThe bhī nahīñ Thiik se aur chal bhī diye
jab bhī aate ho to aa.e ho havā kī sūrat
tū jo bole to utar jaa.e mujassam dil meñ
kisī tāsīr se bharpūr duā kī sūrat
lazzat-e-dīd se mahrūm huuñ mahrūm sahī
vo ḳhayāloñ meñ hai maujūd ḳhudā kī sūrat
hādisa phir to nahīñ koī falak-sāz huā
utrī utrī sī hai kyoñ aaj ziyā kī sūrat
hadse gasht mein rahte hain qaza ki surat
kitni mahdud hai duniya mein baqa ki surat
qissa-e-sabr-o-raza us ko sunao ja kar
jis ne dekhi na ho arbab-e-wafa ki surat
zaKHm bhar jaenge pal bhar mein yaqin hai mujh ko
wo jo aa jaen zara der dawa ki surat
aa ke baiThe bhi nahin Thik se aur chal bhi diye
jab bhi aate ho to aae ho hawa ki surat
tu jo bole to utar jae mujassam dil mein
kisi tasir se bharpur dua ki surat
lazzat-e-did se mahrum hun mahrum sahi
wo KHayalon mein hai maujud KHuda ki surat
hadisa phir to nahin koi falak-saz hua
utri utri si hai kyon aaj ziya ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.