hadse hone lagen to hum dua ko DhunDte hain
hādse hone lageñ to ham du'ā ko DhūñDte haiñ
maslakoñ kī qaid meñ rah kar ḳhudā ko DhūñDhte haiñ
nochte haiñ ham badan se ḳhud qabā-e-zindagānī
aur phir ham gum-shuda apnī ridā ko DhūñDte haiñ
ham fazā meñ gholte haiñ zahr ḳhud sochoñ kā apnī
saañs lene ke liye phir ḳhud havā ko DhūñDte haiñ
maslahat kī bādbānī kashtiyoñ meñ baiTh kar ham
'ishq ke gahre samundar meñ vafā ko DhūñDte haiñ
vaqt kī bhīgī havā meñ sāhiloñ kī ret par ab
umr-e-rafta ke bikharte naqsh-e-pā ko DhūñDte haiñ
kāsa-e-dil kī khanaktī ḳhvāhishoñ ke shor-o-ġhul meñ
āsmānoñ se utartī ik sadā ko DhūñDhte haiñ
gard-e-māzī se lipaTte an-ginat chehroñ ke pīchhe
aaj bhī ham tere chehre kī ziyā ko DhūñDte haiñ
hadse hone lagen to hum du'a ko DhunDte hain
maslakon ki qaid mein rah kar KHuda ko DhunDhte hain
nochte hain hum badan se KHud qaba-e-zindagani
aur phir hum gum-shuda apni rida ko DhunDte hain
hum faza mein gholte hain zahr KHud sochon ka apni
sans lene ke liye phir KHud hawa ko DhunDte hain
maslahat ki baadbani kashtiyon mein baiTh kar hum
'ishq ke gahre samundar mein wafa ko DhunDte hain
waqt ki bhigi hawa mein sahilon ki ret par ab
umr-e-rafta ke bikharte naqsh-e-pa ko DhunDte hain
kasa-e-dil ki khanakti KHwahishon ke shor-o-ghul mein
aasmanon se utarti ek sada ko DhunDhte hain
gard-e-mazi se lipaTte an-ginat chehron ke pichhe
aaj bhi hum tere chehre ki ziya ko DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.