hadse jo shahr mein hote rahe hain
hādse jo shahr meñ hote rahe haiñ
sab hamāre naam se joḌe ga.e haiñ
somnāt-e-dil ko ḳhud Dhāyā hai maiñ ne
mere andar kitne but TuuTe hue haiñ
tai kiyā hai ham ne dasht-e-nā-shanāsī
ham bhare bāzār meñ tanhā hue haiñ
is bulandī kā bharosa kuchh nahīñ hai
ret ke Tīloñ pe ham baiThe hue haiñ
rābta rūhoñ meñ kaise rah sakegā
jism ke rishte jahāñ TuuTe hue haiñ
sone vaalo ab to kholo apnī āñkheñ
jāgte lamhe sadā.eñ de rahe haiñ
‘asr-e-hāzir meñ huī haiñ dūriyāñ kam
fāsle lekin diloñ ke baḌh ga.e haiñ
karb se taḳhlīq ke guzre haiñ kab vo
tabsira jo mere fan par kar rahe haiñ
hadse jo shahr mein hote rahe hain
sab hamare nam se joDe gae hain
somnat-e-dil ko KHud Dhaya hai main ne
mere andar kitne but TuTe hue hain
tai kiya hai hum ne dasht-e-na-shanasi
hum bhare bazar mein tanha hue hain
is bulandi ka bharosa kuchh nahin hai
ret ke Tilon pe hum baiThe hue hain
rabta ruhon mein kaise rah sakega
jism ke rishte jahan TuTe hue hain
sone walo ab to kholo apni aankhen
jagte lamhe sadaen de rahe hain
‘asr-e-hazir mein hui hain duriyan kam
fasle lekin dilon ke baDh gae hain
karb se taKHliq ke guzre hain kab wo
tabsira jo mere fan par kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.