hadson hi mein zindagi ji hai
hādsoñ hī meñ zindagī jī hai
ham ne qistoñ meñ ḳhud-kushī kī hai
jhuk ke jiinā hameñ nahīñ aatā
aur āvāz bhī kuchh ūñchī hai
aap se kuchh gilā nahīñ sāhab
apnī taqdīr hī kuchh aisī hai
sher paḌhnā yahāñ sambhal ke miyāñ
aur bastī nahīñ ye dillī hai
chehra us kā kitāb jaisā hai
aur rañgat gulāb kī sī hai
ham ne 'rahmat;' ġhazal ke lahje meñ
'mīr'-sāhib se guftugū kī hai
hadson hi mein zindagi ji hai
hum ne qiston mein KHud-kushi ki hai
jhuk ke jina hamein nahin aata
aur aawaz bhi kuchh unchi hai
aap se kuchh gila nahin sahab
apni taqdir hi kuchh aisi hai
sher paDhna yahan sambhal ke miyan
aur basti nahin ye dilli hai
chehra us ka kitab jaisa hai
aur rangat gulab ki si hai
hum ne 'rahmat;' ghazal ke lahje mein
'mir'-sahib se guftugu ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.