Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya

Ehteram Islam

hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya

Ehteram Islam

MORE BYEhteram Islam

    hādsoñ silsila manzar-ba-manzar jam gayā

    har kisī ke dhaḌ pe ik fir.aun sar jam gayā

    ḳhaak kashtī tale sone sāġhar jam gayā

    dīda-e-be-ḳhvāb meñ ḳhvāb-e-sikandar jam gayā

    mausamoñ ke biich duurī andāza lagāo

    bah ga.e parbat pighal kar aur samundar jam gayā

    laḌkhaḌā kar gir paḌī ūñchī imārat daf.atan

    daf.atan tā'mīr kursī pe khañDar jam gayā

    rif.at-e-charḳh-e-barīñ mahdūd ho kar rah ga.ī

    jab saroñ par dhund saffāk lashkar jam gayā

    dīda-e-gurba se kyā phūTī shuā-e-jāñ-guzā

    phaḌphaḌāyā tak nahīñ zinda kabūtar jam gayā

    ahl-e-duniyā se mujhe to koī andesha na thā

    naam terā kis liye mere laboñ par jam gayā

    hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya

    har kisi ke dhaD pe ek firaun ka sar jam gaya

    KHak ki kashti tale sone ka saghar jam gaya

    dida-e-be-KHwab mein KHwab-e-sikandar jam gaya

    mausamon ke bich ki duri ka andaza lagao

    bah gae parbat pighal kar aur samundar jam gaya

    laDkhaDa kar gir paDi unchi imarat dafatan

    dafatan ta'mir ki kursi pe khanDar jam gaya

    rifat-e-charKH-e-barin mahdud ho kar rah gai

    jab saron par dhund ka saffak lashkar jam gaya

    dida-e-gurba se kya phuTi shua-e-jaan-guza

    phaDphaDaya tak nahin zinda kabutar jam gaya

    ahl-e-duniya se mujhe to koi andesha na tha

    nam tera kis liye mere labon par jam gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ehteram Islam

    Ehteram Islam

    Source :
    • Book : Hazir hai ehteram (Pg. 45)
    • Author : Ehitaram Islam
    • Publication : Anjuman Prakashan (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now