hadson ne use bhi toD diya
hādsoñ ne use bhī toḌ diyā
reza reza bikhar ga.ī maiñ bhī
ik bhañvar meñ rahā hai vo bhī sadā
aur kināre na lag sakī maiñ bhī
us ne sahrā kī ret ko oḌhā
ḳhaak meñ ḳhaak ho ga.ī maiñ bhī
us ne ḳhud ko badal liyā āḳhir
aur pahlī sī kab rahī maiñ bhī
mere dil ko bhī vo na raas aayā
us ke dil se utar ga.ī maiñ bhī
us ke dil meñ bhī koī ranjish thī
kuchh ḳhafā us se ho ga.ī maiñ bhī
us ne bhī hijr kī tapish jhelī
birhā kī aag meñ jalī maiñ bhī
zo.am us ke bhī sab hī TuuT ga.e
aur na baaqī rahī marī maiñ bhī
hadson ne use bhi toD diya
reza reza bikhar gai main bhi
ek bhanwar mein raha hai wo bhi sada
aur kinare na lag saki main bhi
us ne sahra ki ret ko oDha
KHak mein KHak ho gai main bhi
us ne KHud ko badal liya aaKHir
aur pahli si kab rahi main bhi
mere dil ko bhi wo na ras aaya
us ke dil se utar gai main bhi
us ke dil mein bhi koi ranjish thi
kuchh KHafa us se ho gai main bhi
us ne bhi hijr ki tapish jheli
birha ki aag mein jali main bhi
zoam us ke bhi sab hi TuT gae
aur na baqi rahi mari main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.