hadson se khelna mere liye mushkil na tha
hādsoñ se khelnā mere liye mushkil na thā
ai masīh-e-fitna-gar lekin sukūn-e-dil na thā
jis meñ aa.e the kafan-bardosh chehre shauq se
zindagī afsos maiñ us bazm meñ shāmil na thā
guftugū karte the vo bhī shīsh-mahloñ kī vahāñ
jin ko rahne ke liye TuuTā makāñ hāsil na thā
mujh pe bhī ilzām logoñ ne lagāyā qatl kā
qātiloñ ke shahr meñ hālāñki maiñ qātil na thā
vaqt kā rahbar-numā qazzāq thā har aa.ina
sach hai vo 'kaifī' tumhāre shahar kā aamil na thā
hadson se khelna mere liye mushkil na tha
ai masih-e-fitna-gar lekin sukun-e-dil na tha
jis mein aae the kafan-bardosh chehre shauq se
zindagi afsos main us bazm mein shamil na tha
guftugu karte the wo bhi shish-mahlon ki wahan
jin ko rahne ke liye TuTa makan hasil na tha
mujh pe bhi ilzam logon ne lagaya qatl ka
qatilon ke shahr mein haalanki main qatil na tha
waqt ka rahbar-numa qazzaq tha har aaina
sach hai wo 'kaifi' tumhaare shahar ka aamil na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.