hae aalam wo us se ruKHsat ka
haa.e aalam vo us se ruḳhsat kā
ek manzar thā bas qayāmat kā
kaam saarā ḳharāb karne meñ
daḳhl hai sirf merī ujlat kā
maiñ muravvat meñ maarā jaatā huuñ
kyā karūñ apnī is tabī.at kā
mujh se kaise nibāh kījiyegā
maiñ to banda huuñ bas zarūrat kā
gosha-gīrī mujhe ġhanīmat hai
shauq mujh ko nahīñ hai shohrat kā
koī batlā.e shaiḳh sāhab ko
kyā taqāzā hai ādamiyyat kā
ma.azarat maiñ uThā nahīñ saktā
baar ab aap kī amānat kā
aaj ik aadmī milā thā mujhe
hū-bahū aap jaisī sūrat kā
maañ mujassam duā hai mere liye
baap hai sā.ebān shafqat kā
mujh se kuchh bul-havas haiñ jin se 'vasīm'
naam badnām hai mohabbat kā
hae aalam wo us se ruKHsat ka
ek manzar tha bas qayamat ka
kaam sara KHarab karne mein
daKHl hai sirf meri ujlat ka
main murawwat mein mara jata hun
kya karun apni is tabiat ka
mujh se kaise nibah kijiyega
main to banda hun bas zarurat ka
gosha-giri mujhe ghanimat hai
shauq mujh ko nahin hai shohrat ka
koi batlae shaiKH sahab ko
kya taqaza hai aadamiyyat ka
mazarat main uTha nahin sakta
bar ab aap ki amanat ka
aaj ek aadmi mila tha mujhe
hu-bahu aap jaisi surat ka
man mujassam dua hai mere liye
bap hai saeban shafqat ka
mujh se kuchh bul-hawas hain jin se 'wasim'
nam badnam hai mohabbat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.