Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae

Hafeez Jaunpuri

hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    haa.e ab kaun lagī dil bujhāne aa.e

    jin se ummīd thī aur aag lagāne aa.e

    dard-mandoñ yuuñ karte haiñ hamdardī log

    ḳhuub hañs hañs ke hameñ aap rulāne aa.e

    ḳhat meñ likhte haiñ ki fursat nahīñ aane hameñ

    is matlab to ye hai koī manāne aa.e

    aañkh nīchī na huī bazm-e-adū meñ kar

    ye DhiTā.ī ki nazar ham se milāne aa.e

    ta.ane be-sabr yuuñ ke haa.e tashaffī ke evaz

    aur dikhte hue dil ko vo dukhāne aa.e

    aur to sab ke liye hai terī mahfil meñ jagah

    ham jo baiTheñ abhī darbān uThāne aa.e

    chuTkiyāñ lene ko pahlū meñ rahā ek na ek

    nahīñ to tere armān satāne aa.e

    bekasī to jalā dil mirī turbat pe 'hafīz'

    kyā huā vo na agar sham.a jalāne aa.e

    hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae

    jin se ummid thi aur aag lagane aae

    dard-mandon ki yun hi karte hain hamdardi log

    KHub hans hans ke hamein aap rulane aae

    KHat mein likhte hain ki fursat nahin aane ki hamein

    is ka matlab to ye hai koi manane aae

    aankh nichi na hui bazm-e-adu mein ja kar

    ye DhiTai ki nazar hum se milane aae

    tane be-sabr yun ke hae tashaffi ke ewaz

    aur dikhte hue dil ko wo dukhane aae

    aur to sab ke liye hai teri mahfil mein jagah

    hum jo baiThen abhi darban uThane aae

    chuTkiyan lene ko pahlu mein raha ek na ek

    tu nahin to tere arman satane aae

    bekasi ka to jala dil meri turbat pe 'hafiz'

    kya hua wo na agar shama jalane aae

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-250 Page Number-215)
    • Author : Tufail Ahmad Ansari
    • Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now