hae ek shaKHs jise humne bhulaya bhi nahin
haa.e ik shaḳhs jise ham ne bhulāyā bhī nahīñ
yaad aane kī tarah yaad vo aayā bhī nahīñ
jaane kis moḌ pe le aa.ī hameñ terī talab
sar pe sūraj bhī nahīñ raah meñ saayā bhī nahīñ
vaj.h-e-rusvā.ī-e-ehsās huā hai kyā kyā
haa.e vo lafz jo lab tak mire aayā bhī nahīñ
ai mohabbat ye sitam kyā ki judā huuñ ḳhud se
koī aisā mire nazdīk to aayā bhī nahīñ
yā hameñ zulf ke saa.e hī meñ niiñd aatī thī
yā mayassar kisī dīvār kā saayā bhī nahīñ
bār-hā dil tirī qurbat se dhaḌak uTThā hai
go abhī vaqt mohabbat meñ vo aayā bhī nahīñ
aap us shaḳhs ko kyā kahiye ki jis ne 'ummīd'
ġham diyā ġham ko dil-āzār banāyā bhī nahīñ
hae ek shaKHs jise hum ne bhulaya bhi nahin
yaad aane ki tarah yaad wo aaya bhi nahin
jaane kis moD pe le aai hamein teri talab
sar pe suraj bhi nahin rah mein saya bhi nahin
wajh-e-ruswai-e-ehsas hua hai kya kya
hae wo lafz jo lab tak mere aaya bhi nahin
ai mohabbat ye sitam kya ki juda hun KHud se
koi aisa mere nazdik to aaya bhi nahin
ya hamein zulf ke sae hi mein nind aati thi
ya mayassar kisi diwar ka saya bhi nahin
bar-ha dil teri qurbat se dhaDak uTTha hai
go abhi waqt mohabbat mein wo aaya bhi nahin
aap us shaKHs ko kya kahiye ki jis ne 'ummid'
gham diya gham ko dil-azar banaya bhi nahin
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 01.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.