hae jaanana ki mehman-dariyan
haa.e jānāna kī mehmāñ-dāriyāñ
aur mujh dil kī badan āzāriyāñ
Dhā ga.iiñ dil ko tirī dahlīz par
terī qattāla surīnī bhāriyāñ
uf shikan-hā-e-shikam jānam tirī
kyā kaTāreñ haiñ kaTāreñ kāriyāñ
haa.e terī chhātiyoñ kā tan-tanāv
phir terī majbūriyāñ nāchāriyāñ
tishna-lab hai kab se dil sā shīr-ḳhvār
tere dūdhoñ se haiñ chashme jāriyāñ
dukh ġhurūr-e-hashr ke jaanā hai kaun
kis ne samjhī hashr kī dushvāriyāñ
apne darbāñ ko sañbhāle rakhiye
haiñ havas kī apnī izzat-dāriyāñ
haiñ sidhārī kaun se shahroñ taraf
laḌkiyāñ vo dil galī kī sāriyāñ
ḳhvāb jo tā'bīr ke bas ke na the
dostoñ ne un pe jāneñ vāriyāñ
ḳhalvat-e-mizrāb-e-sāz-o-nāz meñ
chāhiye ham ko terī siskāriyāñ
lafz-o-ma'ānī kā baham kyuuñ hai suḳhan
kis zamāne meñ thiiñ in meñ yāriyāñ
shauq kā ik daav be-shauqī bhī hai
ham haiñ us ke husn ke inkāriyāñ
mujh se bad-taurī na kar o shahr-e-yār
mere jūtoñ ke hai talve ḳhāriyāñ
khā ga.iiñ us zālim-o-mazlūm ko
merī mazlūmī-numā ayyāriyāñ
ye harāmī haiñ ġharīboñ ke raqīb
haiñ mulāzim sab ke sab sakāriyāñ
vo jo haiñ jiite unhoñne be-tarah
jītne par himmateñ haiñ hāriyāñ
tum se jo kuchh bhī na kah paa.eñ miyāñ
āḳhirash kartī vo kyā be-chāriyāñ
hae jaanana ki mehman-dariyan
aur mujh dil ki badan aazariyan
Dha gain dil ko teri dahliz par
teri qattala surini bhaariyan
uf shikan-ha-e-shikam jaanam teri
kya kaTaren hain kaTaren kariyan
hae teri chhatiyon ka tan-tanaw
phir teri majburiyan nachaariyan
tishna-lab hai kab se dil sa shir-KHwar
tere dudhon se hain chashme jariyan
dukh ghurur-e-hashr ke jaana hai kaun
kis ne samjhi hashr ki dushwariyan
apne darban ko sanbhaale rakhiye
hain hawas ki apni izzat-dariyan
hain sidhaari kaun se shahron taraf
laDkiyan wo dil gali ki sariyan
KHwab jo ta'bir ke bas ke na the
doston ne un pe jaanen wariyan
KHalwat-e-mizrab-e-saz-o-naz mein
chahiye hum ko teri siskariyan
lafz-o-ma'ani ka baham kyun hai suKHan
kis zamane mein thin in mein yariyan
shauq ka ek daw be-shauqi bhi hai
hum hain us ke husn ke inkariyan
mujh se bad-tauri na kar o shahr-e-yar
mere juton ke hai talwe KHariyan
kha gain us zalim-o-mazlum ko
meri mazlumi-numa ayyariyan
ye harami hain gharibon ke raqib
hain mulazim sab ke sab sakariyan
wo jo hain jite unhonne be-tarah
jitne par himmaten hain haariyan
tum se jo kuchh bhi na kah paen miyan
aaKHirash karti wo kya be-chaariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.