mujhse mat puchh sar-e-sham wo kaisi hogi
mujh se mat pūchh sar-e-shām vo kaisī hogī
pahlū-e-ġhair meñ bijlī sī chamaktī hogī
jab kabhī vo mire kūche se guzartī hogī
apnī rusvā.ī ke ehsās se Dartī hogī
rang aur husn bikhartā huā jaatā hogā
par galī vo use vīrān sī lagtī hogī
rasm-e-ulfat ho judā.ī ki ho duniyā kā sitam
vo use pyaar kā anjām samajhtī hogī
ġhair jab merī burā.ī pe utartā hogā
sham.a kī tarah vo jal jal ke pighaltī hogī
mujh se mat puchh sar-e-sham wo kaisi hogi
pahlu-e-ghair mein bijli si chamakti hogi
jab kabhi wo mere kuche se guzarti hogi
apni ruswai ke ehsas se Darti hogi
rang aur husn bikharta hua jata hoga
par gali wo use viran si lagti hogi
rasm-e-ulfat ho judai ki ho duniya ka sitam
wo use pyar ka anjam samajhti hogi
ghair jab meri burai pe utarta hoga
shama ki tarah wo jal jal ke pighalti hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.