hae kafir tere hamrah adu aata hai
haa.e kāfir tire hamrāh adū aatā hai
kyā kahūñ paas ye terā hai ki tū aatā hai
nik.hat-e-itr meñ bas-bas ke jo tū aatā hai
apne hamrāh liye rashk kī bū aatā hai
nā-tavānī se nahīñ āh-o-fuġhāñ kī tāqat
naala tham tham ke mirā ta-ba-gulū aatā hai
chauñk paḌtā huuñ shab-e-vāda tire dhoke meñ
har qadam par yahī khaTkā hai ki tū aatā hai
duḳhtar-e-raz ke qadam tak to rasā.ī mālūm
mohtasib sañg-e-dar-e-mai-kada chhū aatā hai
zaḳhm-e-dil par kabhī Tāñkā na lagāyā tum ne
ham to samjhe the tumheñ ḳhuub rafū aatā hai
hae kafir tere hamrah adu aata hai
kya kahun pas ye tera hai ki tu aata hai
nikhat-e-itr mein bas-bas ke jo tu aata hai
apne hamrah liye rashk ki bu aata hai
na-tawani se nahin aah-o-fughan ki taqat
nala tham tham ke mera ta-ba-gulu aata hai
chaunk paDta hun shab-e-wada tere dhoke mein
har qadam par yahi khaTka hai ki tu aata hai
duKHtar-e-raz ke qadam tak to rasai malum
mohtasib sang-e-dar-e-mai-kada chhu aata hai
zaKHm-e-dil par kabhi Tanka na lagaya tum ne
hum to samjhe the tumhein KHub rafu aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.