hae kaisa nagar udasi ka
haa.e kaisā nagar udāsī kā
har bashar ham-safar udāsī kā
qahqahoñ tak maiñ aa ke baiTh gayā
dekh liije asar udāsī kā
biij Daale na khaad Daalī hai
ug gayā ḳhud shajar udāsī kā
ik to pahle hī ġham ke maare the
aur is par zarar udāsī kā
chun ke ash'ār meñ piroyā hai
maiñ ne har ik guhar udāsī kā
tere jaane ke baa'd jaanā hai
zindagī hai safar udāsī kā
hai agar tū javāb de koī
kaun hai ham-safar udāsī kā
ai ḳhudā bhej de koī rahzan
luuTe mujh se jo zar udāsī kā
log to dil udaas rakhte haiñ
maiñ huuñ puurā bashar udāsī kā
tum agar aa sako to aa jaao
jashn hai mere ghar udāsī kā
hae kaisa nagar udasi ka
har bashar ham-safar udasi ka
qahqahon tak main aa ke baiTh gaya
dekh lije asar udasi ka
bij Dale na khad Dali hai
ug gaya KHud shajar udasi ka
ek to pahle hi gham ke mare the
aur is par zarar udasi ka
chun ke ash'ar mein piroya hai
main ne har ek guhar udasi ka
tere jaane ke ba'd jaana hai
zindagi hai safar udasi ka
hai agar tu jawab de koi
kaun hai ham-safar udasi ka
ai KHuda bhej de koi rahzan
luTe mujh se jo zar udasi ka
log to dil udas rakhte hain
main hun pura bashar udasi ka
tum agar aa sako to aa jao
jashn hai mere ghar udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.