hae kya inqilab-e-alam hai
Interesting Fact
(18th July, 1956) (Tamir-e-Urdu)
haa.e kyā inqilāb-e-ālam hai
vo jo sho.ala thā aaj shabnam hai
aur kyoñ koī is pe ashk bahā.e
zindagī zindagī kā mātam hai
ham pe jo bītnī thī biit ga.ī
ho agar koī ibn-e-mariyam hai
un kī nazroñ meñ kyā ḳhushī kā vaqār
jin ko ehsās-e-azmat-e-ġham hai
gardish-e-rozgār se pūchho
kaun monis hai kaun hamdam hai
kisī karvaT sukūñ nahīñ us ko
zindagī iztirāb-e-paiham hai
phir ye andesha-e-jarāhat kyoñ
zaḳhm-e-dil be-niyāz-e-marham hai
nahīñ kuchh kam hasīñ ḳhayāl tirā
tū nahīñ hai to mujh ko kyā ġham hai
dil kī azmat ko bhuul kar nādāñ
tū talabgār-e-sāġhar-e-jam hai
dene vaale ne ġham diyā 'tālib'
ye ināyat kisī kī kyā kam hai
hae kya inqilab-e-alam hai
wo jo shoala tha aaj shabnam hai
aur kyon koi is pe ashk bahae
zindagi zindagi ka matam hai
hum pe jo bitni thi bit gai
ho agar koi ibn-e-mariyam hai
un ki nazron mein kya KHushi ka waqar
jin ko ehsas-e-azmat-e-gham hai
gardish-e-rozgar se puchho
kaun monis hai kaun hamdam hai
kisi karwaT sukun nahin us ko
zindagi iztirab-e-paiham hai
phir ye andesha-e-jarahat kyon
zaKHm-e-dil be-niyaz-e-marham hai
nahin kuchh kam hasin KHayal tera
tu nahin hai to mujh ko kya gham hai
dil ki azmat ko bhul kar nadan
tu talabgar-e-saghar-e-jam hai
dene wale ne gham diya 'talib'
ye inayat kisi ki kya kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.