hae kya pur-fareb sazish hai
haa.e kyā pur-fareb sāzish hai
shahr kā shahr nazr-e-ātish hai
jām-e-jamshed zer-e-gardish hai
dekhte jā.iye numā.ish hai
aam zulm-o-sitam kā charchā kyoñ
ḳhaas lutf-o-karam kī bārish hai
pūchhtī hai zabān ḳhanjar kī
kyā abhī zindagī kī ḳhvāhish hai
ḳhauf-o-dahshat ke suune jangal meñ
sabr-o-himmat kī āzmā.ish hai
aql ke dushmanoñ ko kyā kahiye
ilm ke maḳhzanoñ pe bandish hai
kyā abhī saañs le rahe ho 'zafar'
jī huzūr aap kī navāzish hai
hae kya pur-fareb sazish hai
shahr ka shahr nazr-e-atish hai
jam-e-jamshed zer-e-gardish hai
dekhte jaiye numaish hai
aam zulm-o-sitam ka charcha kyon
KHas lutf-o-karam ki barish hai
puchhti hai zaban KHanjar ki
kya abhi zindagi ki KHwahish hai
KHauf-o-dahshat ke sune jangal mein
sabr-o-himmat ki aazmaish hai
aql ke dushmanon ko kya kahiye
ilm ke maKHzanon pe bandish hai
kya abhi sans le rahe ho 'zafar'
ji huzur aap ki nawazish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.