hae re ahd-e-guzishta ki karam-farmaiyan
haa.e re ahd-e-guzishta kī karam-farmā.iyāñ
anjuman-dar-anjuman tanhā.iyāñ tanhā.iyāñ
ishq ko hāsil haiñ un kī bhī karam-farmā.iyāñ
umr bhar karte rahe haiñ jo sitam-ārā.iyāñ
mil ke donoñ ne mujhe rusvā-e-duniyā kar diyā
kuchh merī nādāniyāñ thiiñ kuchh tirī dānā.iyāñ
lafz-o-ma.anī meñ ulajh kar rah ga.e ahbāb sab
kaash koī dekh saktā qalb kī gahrā.iyāñ
ab ḳhulūs-e-dil kī bāteñ ḳhvāb ho kar rah ga.iiñ
jis taraf dekho faqat parchhā.iyāñ parchhā.iyāñ
koī hañstā to nahīñ aañsū bahāne par mire
bā.is-e-taskīn-e-ḳhātir haiñ mujhe tanhā.iyāñ
dekhiye ye bhī ki dil kā ḳhuun hotā to nahīñ
vaj.h-e-raunaq hī sahī ye anjuman-ārā.iyāñ
merī nazroñ ne unheñ kuchh gudgudāyā is tarah
karvaTeñ lene lagīñ soī huī añgḌā.iyāñ
ahl-e-duniyā se shikāyat kyā gila kyā rañj kyā
mujh ko le Dūbīñ mire ehsās kī gahrā.iyāñ
dard-e-dil jab tak na shāmil ho to 'qādir' sher kyā
zindagī bhar karte rahiye qāfiya-paimā.iyāñ
hae re ahd-e-guzishta ki karam-farmaiyan
anjuman-dar-anjuman tanhaiyan tanhaiyan
ishq ko hasil hain un ki bhi karam-farmaiyan
umr bhar karte rahe hain jo sitam-araiyan
mil ke donon ne mujhe ruswa-e-duniya kar diya
kuchh meri nadaniyan thin kuchh teri danaiyan
lafz-o-mani mein ulajh kar rah gae ahbab sab
kash koi dekh sakta qalb ki gahraiyan
ab KHulus-e-dil ki baaten KHwab ho kar rah gain
jis taraf dekho faqat parchhaiyan parchhaiyan
koi hansta to nahin aansu bahane par mere
bais-e-taskin-e-KHatir hain mujhe tanhaiyan
dekhiye ye bhi ki dil ka KHun hota to nahin
wajh-e-raunaq hi sahi ye anjuman-araiyan
meri nazron ne unhen kuchh gudgudaya is tarah
karwaTen lene lagin soi hui angDaiyan
ahl-e-duniya se shikayat kya gila kya ranj kya
mujh ko le Dubin mere ehsas ki gahraiyan
dard-e-dil jab tak na shamil ho to 'qadir' sher kya
zindagi bhar karte rahiye qafiya-paimaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.