hae taqdir ki jine ka sahaara TuTa
haa.e taqdīr ki jiine kā sahārā TuuTā
jab kināre lagī kashtī to kinārā TuuTā
dil kī duniyā meñ ujāle kā kahīñ naam nahīñ
zindagī jis se thī raushan vo sitārā TuuTā
pahle ummīd meñ jiite the bahār aane kī
jab bahār aa.ī to jiine kā sahārā TuuTā
zindagī hotī hai dam-bhar ke liye duniyā meñ
bulbula kar ke ye hasrat se ishārā TuuTā
qatra-e-ashk girā aañkh se jis dam koī
dil pukār uTThā ki ummīd kā taarā TuuTā
be-talab jab the to tālib thī hamārī duniyā
ab talab hai to jahāñ-bhar kā sahārā TuuTā
khulte hī bahr meñ uf phuuT ga.ī chashm-e-habāb
nā-gahāñ silsila-e-zauq-e-nazārā TuuTā
sāqī-e-bazm ne vo Thes lagā.ī ki 'azīz'
jām-o-mīnā hī nahīñ dil bhī hamārā TuuTā
hae taqdir ki jine ka sahaara TuTa
jab kinare lagi kashti to kinara TuTa
dil ki duniya mein ujale ka kahin nam nahin
zindagi jis se thi raushan wo sitara TuTa
pahle ummid mein jite the bahaar aane ki
jab bahaar aai to jine ka sahaara TuTa
zindagi hoti hai dam-bhar ke liye duniya mein
bulbula kar ke ye hasrat se ishaara TuTa
qatra-e-ashk gira aankh se jis dam koi
dil pukar uTTha ki ummid ka tara TuTa
be-talab jab the to talib thi hamari duniya
ab talab hai to jahan-bhar ka sahaara TuTa
khulte hi bahr mein uf phuT gai chashm-e-habab
na-gahan silsila-e-zauq-e-nazara TuTa
saqi-e-bazm ne wo Thes lagai ki 'aziz'
jam-o-mina hi nahin dil bhi hamara TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.