hae us be-KHud-e-shabab ka rang
haa.e us be-ḳhud-e-shabāb kā rañg
laal añgāra sā sharāb kā rañg
ho gayā ḳhuun hasrat-e-dīdār
de diyā ashk ne shahāb kā rañg
us kī ḳhush-bū gulāb kī ḳhush-bū
rañg us shoḳh kā gulāb kā rañg
satyanās ho gayā dil kā
kyā kahūñ us jale kabāb kā rañg
bijliyāñ dushmanoñ pe girtī haiñ
dekh kar mere iztirāb kā rañg
vo sar-e-shām sair ko nikle
paḌ gayā zard āftāb kā rañg
us ke ruḳh par nikhar ga.ī surḳhī
allāh allāh us hijāb kā rañg
maañd hai rāt-din tire aage
māhtāb aur āftāb kā rañg
itnī shoḳhī safī' kisī meñ kahāñ
rañg meñ rañg to sharāb kā rañg
hae us be-KHud-e-shabab ka rang
lal angara sa sharab ka rang
ho gaya KHun hasrat-e-didar
de diya ashk ne shahab ka rang
us ki KHush-bu gulab ki KHush-bu
rang us shoKH ka gulab ka rang
satyanas ho gaya dil ka
kya kahun us jale kabab ka rang
bijliyan dushmanon pe girti hain
dekh kar mere iztirab ka rang
wo sar-e-sham sair ko nikle
paD gaya zard aaftab ka rang
us ke ruKH par nikhar gai surKHi
allah allah us hijab ka rang
mand hai raat-din tere aage
mahtab aur aaftab ka rang
itni shoKHi safi' kisi mein kahan
rang mein rang to sharab ka rang
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 142)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.