hae wo meri dastan ke log
haa.e vo merī dāstān ke log
yaad aate haiñ is makān ke log
chāñd tāroñ se kījiye parda
chāñd taare haiñ āsmān ke log
dhuup meñ ham kabhī rahe hī na the
aise hote the sā.ebān ke log
merī mahbūb merī jaan na ban
dushman-e-jāñ haiñ merī jaan ke log
maiñ bhī ab be-zabān rahtā huuñ
jab se bichhḌe mirī zabān ke log
hae wo meri dastan ke log
yaad aate hain is makan ke log
chand taron se kijiye parda
chand tare hain aasman ke log
dhup mein hum kabhi rahe hi na the
aise hote the saeban ke log
meri mahbub meri jaan na ban
dushman-e-jaan hain meri jaan ke log
main bhi ab be-zaban rahta hun
jab se bichhDe meri zaban ke log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.