hail hain meri rah mein ye dair-o-haram kyon
haa.il haiñ mirī raah meñ ye dair-o-haram kyoñ
baḌhtā huuñ to har gaam pe rukte haiñ qadam kyoñ
jo haq kī himāyat meñ nikal aatā hai ghar se
us mard-e-mujāhid ko ho andesha-e-ġham kyoñ
ye rahbar-e-manzil haiñ nishāñ in se milegā
rāhoñ se miTāte ho mire naqsh-e-qadam kyoñ
mahfil kī nigāheñ to haiñ markūz unhīñ par
ḳhāmosh nazar aate haiñ aazar ke sanam kyoñ
maiñ ne unheñ apnā kahā apnā hī to samjhā
vo chāhte haiñ karnā mire sar ko qalam kyoñ
jo baat bhī haq hogī vahī baat kaheñge
munsif se kareñ ham koī ummīd-e-karam kyoñ
sad-shukr ki tū ne mujhe insān banāyā
ġham hī mirī qismat hai to ye bhī mujhe kam kyoñ
qudrat ne tumheñ aish-o-masarrat se navāzā
'maqsūd' nazar aate ho bā-dīda-e-nam kyoñ
hail hain meri rah mein ye dair-o-haram kyon
baDhta hun to har gam pe rukte hain qadam kyon
jo haq ki himayat mein nikal aata hai ghar se
us mard-e-mujahid ko ho andesha-e-gham kyon
ye rahbar-e-manzil hain nishan in se milega
rahon se miTate ho mere naqsh-e-qadam kyon
mahfil ki nigahen to hain markuz unhin par
KHamosh nazar aate hain aazar ke sanam kyon
main ne unhen apna kaha apna hi to samjha
wo chahte hain karna mere sar ko qalam kyon
jo baat bhi haq hogi wahi baat kahenge
munsif se karen hum koi ummid-e-karam kyon
sad-shukr ki tu ne mujhe insan banaya
gham hi meri qismat hai to ye bhi mujhe kam kyon
qudrat ne tumhein aish-o-masarrat se nawaza
'maqsud' nazar aate ho ba-dida-e-nam kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.