Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hajat banao ki nahin tumko shabab mein

Mohsin Khan Mohsin

hajat banao ki nahin tumko shabab mein

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    hājat banāo nahīñ tum ko shabāb meñ

    yūsuf tumhīñ to ho miyāñ apne hisāb meñ

    aate nahīñ jo sharm ke maare vo ḳhvāb meñ

    ye bhī koī hijāb hai guyyāñ hijāb meñ

    ranDī ke chhoḌne ko jo kahtī huuñ chheḌ kar

    dete haiñ gāliyāñ mujhe hañs kar javāb meñ

    farmā.isheñ ye saut ko bhī bhejne lage

    aisā maza milā mire dil ke kabāb meñ

    sun sun ke begameñ buā sab khelne lagīñ

    'anqā' ne reḳhtī jo bajā.ī rabāb meñ

    kyā ḳhush-nasīb hai vo nigoḌī jahān meñ

    dam nikle jis yād-e-shah-e-bū-turāb meñ

    ruk ruk ke ashk āñkhoñ meñ kīchaḌ se jam ga.e

    kaa.ī hai jā-ba-jā mirī chashm-e-pur-āb meñ

    khā kar afiim so na rahūñ maiñ to kyā karūñ

    rahte haiñ aap pīnak-e-afyūn-e-nāb meñ

    vo ke shab ko pech laḌā.eñ jo saut se

    kyoñ kaT na jā.ūñ maiñ buā is pech-o-tāb meñ

    'anqā' adū se kah do ki pishvāz pahn le

    laa.e jo raat reḳhtī ke vo javāb meñ

    hajat banao ki nahin tum ko shabab mein

    yusuf tumhin to ho miyan apne hisab mein

    aate nahin jo sharm ke mare wo KHwab mein

    ye bhi koi hijab hai guyyan hijab mein

    ranDi ke chhoDne ko jo kahti hun chheD kar

    dete hain galiyan mujhe hans kar jawab mein

    farmaishen ye saut ko bhi bhejne lage

    aisa maza mila mere dil ke kabab mein

    sun sun ke begamen bua sab khelne lagin

    'anqa' ne reKHti jo bajai rabab mein

    kya KHush-nasib hai wo nigoDi jahan mein

    dam nikle jis ka yaad-e-shah-e-bu-turab mein

    ruk ruk ke ashk aankhon mein kichaD se jam gae

    kai hai ja-ba-ja meri chashm-e-pur-ab mein

    kha kar afim so na rahun main to kya karun

    rahte hain aap pinak-e-afyun-e-nab mein

    wo ja ke shab ko pech laDaen jo saut se

    kyon kaT na jaun main bua is pech-o-tab mein

    'anqa' adu se kah do ki pishwaz pahn le

    lae jo raat reKHti ke wo jawab mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now