hakim-e-shahr ke andaz hain hinda jaise
hākim-e-shahr ke andāz haiñ hinda jaise
ham to hāthoñ meñ thamā deñge kaleja jaise
saḳht mushkil thā mujhe chhoḌ ke aanā tujh ko
sukḌī galiyoñ se nikaltā hai janāza jaise
yuuñ dilāyā hai use apnī mohabbat kā yaqīn
munkir-e-dīñ ko paḌhāyā gayā kalma jaise
us kā jhuñjhlānā to bantā thā ki maiñ ne us ko
aise dekhā kabhī dekhā hī nahīñ thā jaise
zindagī saath tire itnī hasīñ lagtī hai
dhuup meñ baiThā huā dūdh-muñh bachcha jaise
zindagī ghuum rahī hai tirī yādeñ le kar
maut ke ghar meñ Tahaltī huī beva jaise
hakim-e-shahr ke andaz hain hinda jaise
hum to hathon mein thama denge kaleja jaise
saKHt mushkil tha mujhe chhoD ke aana tujh ko
sukDi galiyon se nikalta hai janaza jaise
yun dilaya hai use apni mohabbat ka yaqin
munkir-e-din ko paDhaya gaya kalma jaise
us ka jhunjhlana to banta tha ki main ne us ko
aise dekha kabhi dekha hi nahin tha jaise
zindagi sath tere itni hasin lagti hai
dhup mein baiTha hua dudh-munh bachcha jaise
zindagi ghum rahi hai teri yaaden le kar
maut ke ghar mein Tahalti hui bewa jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.