hakim-e-waqt ke iqbaal se kya kya na hua
hākim-e-vaqt ke iqbāl se kyā kyā na huā
dil ke zaḳhmoñ kā magar koī mudāvā na huā
sar paTakte hī phire raah kī tanhā.ī meñ
ahl-e-fan ke liye darvāza koī vā na huā
zulmat-e-shab meñ koī rāhbarī kyā kartā
ek taarā bhī sar-e-arsh hamārā na huā
maiñ vo ik abr kā TukḌā huuñ ki sab ke ġham meñ
merā saaya bhī mire vāste saaya na huā
shahr ke ġham meñ palaT aaya huuñ vīrānoñ se
shauq bhī apnā ba-andāza-e-sahrā na huā
apne ehsās-e-sitam hī kī qasam hai ham ko
ham ne darvāza hī toḌā hai agar vā na huā
dūsroñ ke liye marnā hī masīhā.ī hai
garche is ahd meñ is tarah se jiinā na huā
do pahar zindagī dhūpoñ meñ jo taptī hī rahī
ek kāñTā hai ki jis kā koī saayā na huā
rang-o-millat kā mujhe hosh kahāñ se 'anvar'
maiñ to ḳhushbu-e-mohabbat se huuñ dīvāna huā
hakim-e-waqt ke iqbaal se kya kya na hua
dil ke zaKHmon ka magar koi mudawa na hua
sar paTakte hi phire rah ki tanhai mein
ahl-e-fan ke liye darwaza koi wa na hua
zulmat-e-shab mein koi rahbari kya karta
ek tara bhi sar-e-arsh hamara na hua
main wo ek abr ka TukDa hun ki sab ke gham mein
mera saya bhi mere waste saya na hua
shahr ke gham mein palaT aaya hun viranon se
shauq bhi apna ba-andaza-e-sahra na hua
apne ehsas-e-sitam hi ki qasam hai hum ko
hum ne darwaza hi toDa hai agar wa na hua
dusron ke liye marna hi masihai hai
garche is ahd mein is tarah se jina na hua
do pahar zindagi dhupon mein jo tapti hi rahi
ek kanTa hai ki jis ka koi saya na hua
rang-o-millat ka mujhe hosh kahan se 'anwar'
main to KHushbu-e-mohabbat se hun diwana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.