haal achchha hai na hi hosh Thikane se hai
haal achchhā hai na hī hosh Thikāne se hai
be-qarārī kā ye aalam to zamāne se hai
ek muddat se mayassar nahīñ ghar ko raunaq
us pe parhez tumheñ hañsne hañsāne se hai
nā-ḳhushī bebasī ho jaa.eñ numāyāñ sāhab
fā.eda dushmanoñ ko haal chhupāne se hai
chal zarā apnī rivāyat se alag raste par
ab ke ḳhatra bhī to ḳhatra na uThāne se hai
jaisā hai vaisā rahegā ye jahāñ mere dost
is ko matlab na tire aane na jaane se hai
le gayā luuT ke jo mulk kī daulat yaaro
vo koī chor nahīñ rāj-gharāne se hai
haal achchha hai na hi hosh Thikane se hai
be-qarari ka ye aalam to zamane se hai
ek muddat se mayassar nahin ghar ko raunaq
us pe parhez tumhein hansne hansane se hai
na-KHushi bebasi ho jaen numayan sahab
faeda dushmanon ko haal chhupane se hai
chal zara apni riwayat se alag raste par
ab ke KHatra bhi to KHatra na uThane se hai
jaisa hai waisa rahega ye jahan mere dost
is ko matlab na tere aane na jaane se hai
le gaya luT ke jo mulk ki daulat yaro
wo koi chor nahin raj-gharane se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.