haal aisā huā burā dil kā
kaun kartā hai ab kahā dil kā
us kī tanhā.iyāñ ye kahtī haiñ
mujh ko bhī mil gayā sila dil kā
dil ko jis se baḌī umīdeñ thiiñ
haal us ne nahīñ sunā dil kā
zindagī tujh se kaun jaane kab
TuuT jā.egā silsila dil kā
in ḳhudāoñ kā kyā kare koī
chāhiye hai mujhe ḳhudā dil kā
us ke pahlū meñ dil nahīñ 'sarvar'
kyā kaheñ jā ke mudda.ā dil kā
haal aisa hua bura dil ka
kaun karta hai ab kaha dil ka
us ki tanhaiyan ye kahti hain
mujh ko bhi mil gaya sila dil ka
dil ko jis se baDi umiden thin
haal us ne nahin suna dil ka
zindagi tujh se kaun jaane kab
TuT jaega silsila dil ka
in KHudaon ka kya kare koi
chahiye hai mujhe KHuda dil ka
us ke pahlu mein dil nahin 'sarwar'
kya kahen ja ke muddaa dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.