haal dil ka ayan nahin hota
haal dil kā ayaañ nahīñ hotā
ham se ab kuchh bayāñ nahīñ hotā
but-kada ho haram ki mai-ḳhāna
zikr terā kahāñ nahīñ hotā
ik nazar ḳhud pe Dāliye sāhab
aa.ina bad-zabāñ nahīñ hotā
mausam-e-gul bhī is baras ham par
jaane kyoñ mehrbāñ nahīñ hotā
uf tasavvur ke silsile 'zāhid'
ḳhatm ye kārvāñ nahīñ hotā
haal dil ka ayan nahin hota
hum se ab kuchh bayan nahin hota
but-kada ho haram ki mai-KHana
zikr tera kahan nahin hota
ek nazar KHud pe Daliye sahab
aaina bad-zaban nahin hota
mausam-e-gul bhi is baras hum par
jaane kyon mehrban nahin hota
uf tasawwur ke silsile 'zahid'
KHatm ye karwan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.