haal duniya mein hua rahm ke qabil apna
haal duniyā meñ huā rahm ke qābil apnā
na ḳhasam apnā hai baajī na muā dil apnā
kaise kahte ho nahīñ koī muqābil apnā
ai jī siine meñ TaTolo to zarā dil apnā
hausla kyā karūñ dikhlā.ūñ maiñ kyā dil apnā
marduvā bhī to ho guyyāñ kisī qābil apnā
vaqt kī apne maiñ lailā huuñ vo majnūñ guyyāñ
aur kyā chāhiye chhap jā.egā novel apnā
is se zyāda to maiñ habba nahīñ dene kī unheñ
ghar meñ baiThī vo nikālā kareñ fāzil apnā
sabr bandī kā sameTā kiye marte marte
qabr meñ un kī farishta na ho nāzil apnā
chaar ke kāñdhe pe bolī ye bahishtī biibī
paañv bhī ghar se jo niklā to ba-mushkil apnā
ek se laakh tak inkār nahīñ karne kī
lā ke dikhlā.eñ to mujh ko vo zarā bill apnā
kahīñ āñkhoñ se na ojhal koī tinkā ho jaa.e
rakheñ asbāb nigāhoñ meñ vo til til apnā
sāseñ duniyā meñ kahīñ sachchī huī haiñ beTā
ham bhī jhūTe sahī da.avā bhī hai bātil apnā
raat charrā.ī thī phir aglī mohabbat un kī
mujh ko paḌh paḌh ke sunāyā kiye novel apnā
joñk patthar meñ nahīñ lagtī hai ye sach hai magar
kaise kar le koī terā sā mue dil apnā
ek se ek zamāne meñ paḌe haiñ 'shaidā'
kaise kahte ho nahīñ koī muqābil apnā
haal duniya mein hua rahm ke qabil apna
na KHasam apna hai baji na mua dil apna
kaise kahte ho nahin koi muqabil apna
ai ji sine mein TaTolo to zara dil apna
hausla kya karun dikhlaun main kya dil apna
marduwa bhi to ho guyyan kisi qabil apna
waqt ki apne main laila hun wo majnun guyyan
aur kya chahiye chhap jaega nowel apna
is se zyaada to main habba nahin dene ki unhen
ghar mein baiThi wo nikala karen fazil apna
sabr bandi ka sameTa kiye marte marte
qabr mein un ki farishta na ho nazil apna
chaar ke kandhe pe boli ye bahishti bibi
panw bhi ghar se jo nikla to ba-mushkil apna
ek se lakh tak inkar nahin karne ki
la ke dikhlaen to mujh ko wo zara bill apna
kahin aankhon se na ojhal koi tinka ho jae
rakhen asbab nigahon mein wo til til apna
sasen duniya mein kahin sachchi hui hain beTa
hum bhi jhuTe sahi dawa bhi hai baatil apna
raat charrai thi phir agli mohabbat un ki
mujh ko paDh paDh ke sunaya kiye nowel apna
jonk patthar mein nahin lagti hai ye sach hai magar
kaise kar le koi tera sa mue dil apna
ek se ek zamane mein paDe hain 'shaida'
kaise kahte ho nahin koi muqabil apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.