haal-e-dil aashkar karta hun
hāl-e-dil āshkār kartā huuñ
aaj unheñ ashk-bār kartā huuñ
pairahan taar taar kartā huuñ
ehtimām-e-bahār kartā huuñ
apnī hastī se be-ḳhabar ho kar
aap kā intizār kartā huuñ
tere va.ade pe tere sar kī qasam
dil se maiñ e.atibār kartā huuñ
qissa-e-dard-o-ġham sunā ke unheñ
aaj phir be-qarār kartā huuñ
shām-e-ġham vo na ā.eñge lekin
phir bhī maiñ intizār kartā huuñ
dil hai kyā chiiz dil kī hastī kyā
jaan tum par nisār kartā huuñ
dard-o-ġham kī fazā.eñ raushan haiñ
daaġh dil ke shumār kartā huuñ
un ke naqsh-e-qadam pe maiñ 'sājid'
sajde dīvāna-vār kartā huuñ
haal-e-dil aashkar karta hun
aaj unhen ashk-bar karta hun
pairahan tar tar karta hun
ehtimam-e-bahaar karta hun
apni hasti se be-KHabar ho kar
aap ka intizar karta hun
tere wade pe tere sar ki qasam
dil se main eatibar karta hun
qissa-e-dard-o-gham suna ke unhen
aaj phir be-qarar karta hun
sham-e-gham wo na aaenge lekin
phir bhi main intizar karta hun
dil hai kya chiz dil ki hasti kya
jaan tum par nisar karta hun
dard-o-gham ki fazaen raushan hain
dagh dil ke shumar karta hun
un ke naqsh-e-qadam pe main 'sajid'
sajde diwana-war karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.