haal-e-dil apna likhun haal tumhaara likkhun
haal-e-dil apna likhun haal tumhaara likkhun
Mohammad Faizullah Faiz
MORE BYMohammad Faizullah Faiz
hāl-e-dil apnā likhūñ haal tumhārā likkhūñ
tū hī batlā ki tire ḳhat meñ maiñ kyā kyā likkhūñ
un ko apnāne kī sab koshisheñ nākām huiiñ
bāzī-e-ishq meñ ab apne ko haarā likkhūñ
jis meñ tasvīr nazar aatī thī har vaqt tirī
aa.ina TuuT gayā ab vo tumhārā likkhūñ
gar garebāñ hī salāmat hai na dāman us kā
kaisī hālat meñ hai dīvāna tumhārā likkhūñ
'faiz' hālāt haiñ jo kuchh bhī karam hai us kā
kyuuñ na har haal ko ehsān tumhārā likkhūñ
haal-e-dil apna likhun haal tumhaara likkhun
tu hi batla ki tere KHat mein main kya kya likkhun
un ko apnane ki sab koshishen nakaam huin
bazi-e-ishq mein ab apne ko haara likkhun
jis mein taswir nazar aati thi har waqt teri
aaina TuT gaya ab wo tumhaara likkhun
gar gareban hi salamat hai na daman us ka
kaisi haalat mein hai diwana tumhaara likkhun
'faiz' haalat hain jo kuchh bhi karam hai us ka
kyun na har haal ko ehsan tumhaara likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.