haal-e-dil bhi suna ke kya hoga
hāl-e-dil bhī sunā ke kyā hogā
bevafā kaise bā-vafā hogā
dard had se agar sivā hogā
jaan jā.egī aur kyā hogā
nā-tavānoñ pe sau tarah ke sitam
soch anjām-e-zulm kyā hogā
jaan de deñge rāh-e-ulfat meñ
yuuñ mohabbat kā haq adā hogā
ham to jaur-o-jafā ke ḳhūgar haiñ
aap se is kā kyā gila hogā
sūd-dar-sūd baḌhtā jaatā hai
qarz mushkil se ab adā hogā
raushnī aaj itnī tez hai kyoñ
ho na ho merā ghar jalā hogā
tīrgī par huā to ai 'aḳhtar'
raushnī par bhī tabsira hogā
haal-e-dil bhi suna ke kya hoga
bewafa kaise ba-wafa hoga
dard had se agar siwa hoga
jaan jaegi aur kya hoga
na-tawanon pe sau tarah ke sitam
soch anjam-e-zulm kya hoga
jaan de denge rah-e-ulfat mein
yun mohabbat ka haq ada hoga
hum to jaur-o-jafa ke KHugar hain
aap se is ka kya gila hoga
sud-dar-sud baDhta jata hai
qarz mushkil se ab ada hoga
raushni aaj itni tez hai kyon
ho na ho mera ghar jala hoga
tirgi par hua to ai 'aKHtar'
raushni par bhi tabsira hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.