haal-e-dil-e-tabah kahen kya kisi se hum
hāl-e-dil-e-tabāh kaheñ kyā kisī se ham
kahnā hameñ jo hai vo kaheñge tujhī se ham
ik ranj-e-lā-zavāl meñ sad-haif phañs ga.e
dil ko lagā ke ik sanam-e-ārzī se ham
ai barq-e-ishq tū hī jalā de hijāb ko
itnā sā kaam hai to kaheñ kyā kisī se ham
dil chhīn liyā ham ne to shīrīñ-suḳhanī se
'amjad' jahāñ kahīñ bhī mile jis kisī se ham
haal-e-dil-e-tabah kahen kya kisi se hum
kahna hamein jo hai wo kahenge tujhi se hum
ek ranj-e-la-zawal mein sad-haif phans gae
dil ko laga ke ek sanam-e-arzi se hum
ai barq-e-ishq tu hi jala de hijab ko
itna sa kaam hai to kahen kya kisi se hum
dil chhin liya hum ne to shirin-suKHani se
'amjad' jahan kahin bhi mile jis kisi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.